Tuesday, January 17, 2012

Manna Dey - Ham, Chhupe Rustam Hain

Song     : Ham, Chhupe Rustam Hain
Movie    : Chhupa Rustom
Singer(s): Manna Dey

Hindi Lyrics

Ham, Chhupe Rustam Hain,
qayaamat Ki Nazar Rakhte Hain
zameen To Kya Hai,
asmaan Ki Khabar Rakhte Hain
ham, Chhupe Rustam Hain ...

chhup Na Paaye Koyi Tasveer, Hamaare Aage
toot Jaati Hai Khud Shamsheer Hamaare Aage
chal Na Paaye Koyi Tadbeer Hamaare Aage
sar Jhukaati Hai Har Taqdeer Hamaare Aage

raah Kaanto Mein Bana Lete Hain,
aasmaan Sar Pe Uthha Lete Hain
ham Agar Taish Mein Aaye To,
aag Paani Mein Laga Dete Hain

hamaare Dam Se Ye Zamaana Hai,
sharaab-o-jaam Hai, Maikhaana Hai
ham Jaha Sar Ko Jhuka De Yaaro,
wahi Kaaba, Wahi Butkhaana Hai

ham Insaan Hain, Insaan Ke Liye,
dar Pe Sar Rakhte Hain
(zameen To Kya Hai,
aasmaan Ki Khabar Rakhte Hai)
ham, Chhupe Rustam Hain ...

tori Nazariya Gauri Jaise Ras Ki Nadi Laharaaye
ek Baar Jo Doobe In Mein Pal-pal Goti Khaaye
oh Shama ... Pal-pal Gota Khaaye

nazar Ye Teer Bhi, Talwaar Bhi Hai,
nazar Inkaar Bhi, Iqraar Bhi Hai
nazar Ye Phool Bhi, Khaar Bhi Hai,
thal Bhi, Megh Bhi, Malhaar Bhi Hai

nazar Dil Ki Zubaan Hoti Hai,
motiyo Ka Makaan Hoti Hai
pyaar Ka Imtehaan Hoti Hai,
zameen Par Aasmaan Hoti Hai

nazar Uthh Jaaye To Duwa Ban Jaaye,
agar Jhuk Jaaye To Haya Ban Jaaye
jo Tirchhi Ho To Adaa Ban Jaaye,
pade Seedhi To Qaza Ban Jaaye

nazar Koyi Bhi Ho Ham Sab Pe Nazar Rakhte Hain
zameen To Kya Hai,
aasmaan Ki Khabar Rakhte Hain
ham Chhupe Rustam Hain ...

ham Teri Talaash Mein Jaan-e-jahaan,
jeene Ka Kya Dastoor Bane
kabhi Kais, Kabhi Farhaad,
kabhi Khaiyyaam, Kabhi Mansoor Bane
kya-kya Na Bane Ham Tere Liye Par,
jo Bhi Bane, Bharpoor Bane
natkhat Ham Natwar, Tere Liye

dar-dar Ghoome, Ban-ban Bhatke,
parbat Pe Gaye, Sooli Pe Chadhhe
nit Khaaye Muqaddar Se Jhatke,
tere Ghunghat Pat Ki Salwat Mein
at-at Ye More Naina Atke,
jhatpat De Hamein Darsan,
ham To Pyaase Hain, Teri Kaali Lat Ke

oh Meri Aarzoo Aa Oh Meri Justjoo,
aa Zara Tu Rubroo Aa
le Hi Jaayenge, Uthha Ke Bhari Mehfil Se Tujhe
chura Le Aankh Se Kaajal Woh Hunar Rakhte Hain
ham, Chhupe Rustam Hain ...

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.